Zindagi Mein To SabhiZindagi mein to sabhZindagi mein to sabhi pyaar kiya karte hainMain to markar bhi meri jaan tujhe chahoongaTu mila hai to ye ehsaas huaa hai mujhkoYe meri umar mohabbat ke liye thhodi haiEk zara sa ghum-e-dauraan ka bhi haq hai jis parMaine wo saans bhi tere liye rakh chhodi haiTujh pe ho jaaoonga qurban tujhe chahoongaMain to markar bhi meri jaan tujhe chaahoongaApne jazbaat mein naghmaat rachaane ke liyeMaine dhadkan ki tarah dil mein basaaya hai tujheMain tasavvur bhi judaai ka bhala kaise karoonMaine kismat ki lakeeron se churaaya hai tujhePyar ka banke nigehbaan tujhe chaahoongaMain to markar bhi meri jaan tujhe chaahoongaTeri har chaap se jalte hain khayaalon mein chiraagJab bhi tu aaye jagaata huaa jaadu aayeTujhko chhulun to aye jaan-e-tamanna mujhkoDair tak apne badan se teri khushboo aayeTu bahaaron ka hai unwaan tujhe chaahoongaMain to marrkar bhi meri jaan tujhe chaaooungaTranslationGham-e-dauraan: period of sorroNaghmaat: melodTasavvur: contemplatioNigaahbaan: guard, janitoJaan-e-tamanna: hearts desirUnwaan: form, headline, label, legen
Dono Jahaan Teri Mohabbat MeinDono jahaan teri mohabbat meiDono jahaan teri mohabbat mein haar keWoh jaa raha hai koi shab-e-gam guzaar keVeeraan hai maikada khum o sagar udaas hainTum kya gaye ki rooth gaye din bahaar keIk fursat-e-gunaah mili wo bhi chaar dinDekhe hain hum ne haunsle parwardigaar keDuniya ne teri yaad se baigana kar diyaTujh se bhi dil-fareb hain gam rozgaar keBhule se muskura to diye the woh aaj 'faiz'Mat puch valvale dil-e-naa-karda-kaar ke
Mohabbat Ke Bhi Kuch Andaaz Hote HainMohabbat ke bhi kuch andaaz hote hainJaagti aankoh me bhi kuch khawab hote hainZaroori nahi ki gham me aansu nikleMushkurati aankho me bhi sailab hote hain
Uski Chahat Ne Rulaya Bahut HaiUski chahat ne rulaya bahut haiUski yaadon ne tadpaya bahut haiHum usse karte hain mohabbat beintehaaIss baat ko usne aazmaya bahut hai
Ai Rabba Kya Cheez Mohabbat Tune Banai HaiAi rabba kya cheez mohabbat tune banai haiKisi ko ye mil jaati hai aur koi sehta umar bhar kee tanhai haiSaath chalne ke khwaab dekhte hain jo log mohabbat meinKoi pa leta hai apni manzil ko aur koi sehta umar bhar kee judai hai
Mohabbat Se Rihaa Hona Zaroori Ho Geya HaiMohabbat se rihaa hona zaroori ho geya haiMera tujh se judaa hona zaroori ho geya haiWafaa ke tazurbey karte hue to umar guzriZara sa bewafa hona zaroori ho geya hai